sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ
so us ke shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhte haiñ
sunā hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se
so apne aap ko barbād kar ke dekhte haiñ
sunā hai dard kī gāhak hai chashm-e-nāz us kī
so ham bhī us kī galī se guzar ke dekhte haiñ
sunā hai us ko bhī hai sher o shā.irī se shaġhaf
so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ
sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ
sunā hai raat use chāñd taktā rahtā hai
sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ
sunā hai din ko use titliyāñ satātī haiñ
sunā hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ
sunā hai hashr haiñ us kī ġhazāl sī āñkheñ
sunā hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ
sunā hai raat se baḌh kar haiñ kākuleñ us kī
sunā hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte haiñ
sunā hai us kī siyah-chashmagī qayāma