Bikhar raee ha mere zaat usay kehna
kabhi milay to ye baat use kahna
wo saath tha to zamana tha hamsafar mera
magar ab koi nai meray saath use kehna
usay kehna k bin uske din nai katta
sisk sisk k katti ha raat use kehna
usay pukaron k khud he ponch jaoon us ke paas
nahi rahay wo halat usay kehna
Mere sir per toota tha
Mere kismat ka taara tha
Kitne sadian simat raee thee
Ik lamha jab pheel raha tha
Aj main sehra main hun pyasa
Kal main dariya main dooba tha
Waqt guzer jata ha lakin
Waqt boohat mushkil guzra tha..
Manzilein b us ki,rasta b us ka tha
Ek main akela tha, raasta b us ka tha
Saath saath chalne ke sooch b us ki thi
Phir rasta badalne ka faisla b us ka tha
Aaj kioon akele mein dil sawal kerta ha
Log to us ke the Kya KHUDA b us ka tha
koi ye kaise bata de k wo tanha kioon ha
wo jo apna tha aur kissi ka kyun ha
ye he duniya ha tu aise ye duniya kiun ha
ye he hota ha tu aisse ye hota kyun ha
ek zara haath barha lein tu pakar lein daman
us ke seene mein sama jaye hamari dharkan
itni kurbat hai to fasla itna kiun ha
ye hi hota ha tu aise ye hota kioon ha
dil e barbaad se nikla nai ab tak koi
ass jo toot gaye phir bandhata kyun hai
ye hi hota ha to aise ye hota kioon ha
tum mussarat ka kaho ye isse gham ka rishta
kehte hain pyar ka rishta tu hai janam ka rishta
hai janam ka jo ye rishta to badalta kiun ha
ye he hota ha to aise ye hota kion ha
koi ye kaise bataye k wo tanha kiun ha